Saturday, November 06, 2010

Dye Corduroy's "Khasoosee Nashriyaat" - Tranmission #2: Faraib (mp3/lyrics)





Faraib by Dye Corduroy


Genre: Alternative Rock, Folk-Rock
Album: Khasoosee Nashriyaat

http://soundcloud.com/dye-corduroy/faraib
Mp3 for keeps:


Lyrics:
(verse 1)
Sab faraib kay naam nayey hain diyey
Saarey rangon mein ikk siyah hee kiyon dikhay

(verse 2)
Saaree taaberain khwab mangey abb nayey
Iss jahaan mein chaar su khalaa lagey

(pre-chorus)
Mein ney dhoonda baar baar, Bayshumaar chehroan mein
Ikk gharee ka aitebaar, Nagawaar kiyon lagay

(chorus)
Kiyon kabhee tham na sakay: Azaar yeh
Kiyon kabhee kam na huway: Faaslay

(bridge)
Behtay baadaloan mein bhee; Baar haa yuun lagay
Saaree bhuulee tasverain; Manzar-e-aam pay

(verse 3)
Intizaar aur aarza kee oarh mein
Ikk malaal aur lazwaal aas mein

(pre-chorus)
Mein nay socha hoon faraar, Maanee haar tum sab say
Par yeh dekho kaisa pyar, Hon na paar raastay

(chorus)
Kiyon kabhee tham na sakay: Azaar yeh
Kiyon kabhee kam na huway: Faaslay

(bridge)
Behtay baadaloan mein bhee; Baar haa yuun lagay
Saaree bikhree tasverain; Waqt kay jaam mein