Showing posts with label Rock. Show all posts
Showing posts with label Rock. Show all posts

Wednesday, January 16, 2013

It's a bad day for Suicide Patrol...


This post is about the new Dye Corduroy single "Suicide Patrol" - if you're looking for actual suicide intervention, please contact your local police & request them to start a faction that would be ever vigilant and on patrol to equate the literal purpose of the song title. Otherwise, tune in...





The song tries to capture the moment between feeling invincible & inconsolably doomed. The shadowboxing central character in first person is on the precipice of oblivion where the misery of his might & his racing pulse collides. Spoiler alert: In the end, it's a bad day for Suicide Patrol.



From the upcoming record: Here Beside the Decoy


Music/Lyrics/Artwork: Adil Salik


Saturday, November 06, 2010

Dye Corduroy's "Khasoosee Nashriyaat" - Tranmission #2: Faraib (mp3/lyrics)





Faraib by Dye Corduroy


Genre: Alternative Rock, Folk-Rock
Album: Khasoosee Nashriyaat

http://soundcloud.com/dye-corduroy/faraib
Mp3 for keeps:


Lyrics:
(verse 1)
Sab faraib kay naam nayey hain diyey
Saarey rangon mein ikk siyah hee kiyon dikhay

(verse 2)
Saaree taaberain khwab mangey abb nayey
Iss jahaan mein chaar su khalaa lagey

(pre-chorus)
Mein ney dhoonda baar baar, Bayshumaar chehroan mein
Ikk gharee ka aitebaar, Nagawaar kiyon lagay

(chorus)
Kiyon kabhee tham na sakay: Azaar yeh
Kiyon kabhee kam na huway: Faaslay

(bridge)
Behtay baadaloan mein bhee; Baar haa yuun lagay
Saaree bhuulee tasverain; Manzar-e-aam pay

(verse 3)
Intizaar aur aarza kee oarh mein
Ikk malaal aur lazwaal aas mein

(pre-chorus)
Mein nay socha hoon faraar, Maanee haar tum sab say
Par yeh dekho kaisa pyar, Hon na paar raastay

(chorus)
Kiyon kabhee tham na sakay: Azaar yeh
Kiyon kabhee kam na huway: Faaslay

(bridge)
Behtay baadaloan mein bhee; Baar haa yuun lagay
Saaree bikhree tasverain; Waqt kay jaam mein

Sunday, October 31, 2010

Dye Corduroy's "Khasoosee Nashriyaat" - Tranmission #1: Toofan (mp3/lyrics)


Genre: Alternative Rock, Folk-Rock
Album: Khasoosee Nashriyaat

http://soundcloud.com/dye-corduroy/dye-corduroy-toofan
Mp3 for keeps:


Lyrics: 
Hum nay dekhay kaisay toofan yeh
Hum nay jhailay kaisay imtihaan yeh
Bikhray, simmtay kitnee baar baar yeh
Duubay neelay gehray aasman mein

Tayree zameen hai ya mayree kahani
Jo tum nay bahaya lahu tha ya paanee?

(chorus)
Mayrey shehr kay bhoolay baynaam panchee
Mayrey andhair mein duubay khayalon kay saathee
Mayree dushwaar hayat kay raazdaan
Mayrey angaar andaaz kay hum bayan

Sacha no jhoota, behka eemaan yeh
Suraj mein pakkay rang ho armaan kay
Har sawaal ka jawab ikk naya kiyon sawaal yeh
Inquilaab kay yeh khwab, bay hasaab par saraab yeh

Tayree zameen hai ya mayree kahani
Jo tum nay bahaya: Lahu tha ya paanee?
Apnay iraadon kee dhaal kay peechay
Kharray hain woh waaday jo hum nay kiyey

(chorus)
Mayrey shehr kay bhoolay baynaam panchee
Mayrey andhair mein duubay khayalon kay saathee
Mayree dushwaar hayat kay raazdaan
Mayrey angaar andaaz kay hum bayan


Mayrey andaikhay raston kay
Mayrey maazee ko dhoondtay
Mayrey sayon kay baytaaj badshah

Mayra roshnee ko tarsa nagar

Wednesday, September 10, 2008

Dye Corduroy's Latest Offering - Kiya Tum Ho Wohee


The latest Dye Corduroy track is all set and raring to burn holes in your iPods and ears. Beware: The chorus can stick to you like taffy on a hot wet Wednesday.

Its called "Kiya Tum Ho Wohee" & contrary to the obvious its not a lament, it's not about love and all your gooey gremlins, its about alienation of self, friends, people and civilization. Hence the lack of recognition and the query - kiya tum ho wohee?


Stream or right-click-save-target-as to download the mp3:

Dye Corduroy - Kiya Tum Ho Wohee


{lyrics}

Kiya Tum Ho Wohee

Darmiyaan;
Mein gumm yahaan;
Ikk kasak kee iss kashish mein khwab saarey;
Baysahaarey

Raastay;
Dhoop dhullay;
Waqt kay iss dasht mein who dhoondtay hain;
Behtay dhaarey

Kiya Tum Ho Wohee?

Maaverah;
Bay bahaa;
Silsiloan kay sahiloan pay woh khara hai;
Aik kinaarey

Ghair mein;
Andhair jahaan;
Manziloan kee chaoon mein bhee jaltay bhujtay;
Yeh iraaday

Kiya Tum Ho Wohee?

Aasmaan;
Par hai ikk nishaan;
Kehkashaan kee goad mein say chinn kay bikhjray;
Tootay taarey

Kiya Tum Ho Wohee?

Tuesday, February 19, 2008

Dye Corduroy - At Your Meridian - The Video

self made, self taught, self thought, self selved, self served