Genre: Alternative Rock, Folk-Rock
Album: Khasoosee Nashriyaat
Sources: Toofan @ SoundCloud (stream/download)
http://soundcloud.com/dye-corduroy/dye-corduroy-toofan
Mp3 for keeps:
Lyrics:
Hum nay dekhay kaisay toofan yeh
Hum nay jhailay kaisay imtihaan yeh
Bikhray, simmtay kitnee baar baar yeh
Duubay neelay gehray aasman mein
Tayree zameen hai ya mayree kahani
Jo tum nay bahaya lahu tha ya paanee?
(chorus)
Mayrey shehr kay bhoolay baynaam panchee
Mayrey andhair mein duubay khayalon kay saathee
Mayree dushwaar hayat kay raazdaan
Mayrey angaar andaaz kay hum bayan
Sacha no jhoota, behka eemaan yeh
Suraj mein pakkay rang ho armaan kay
Har sawaal ka jawab ikk naya kiyon sawaal yeh
Inquilaab kay yeh khwab, bay hasaab par saraab yeh
Tayree zameen hai ya mayree kahani
Jo tum nay bahaya: Lahu tha ya paanee?
Apnay iraadon kee dhaal kay peechay
Kharray hain woh waaday jo hum nay kiyey
(chorus)
Mayrey shehr kay bhoolay baynaam panchee
Mayrey andhair mein duubay khayalon kay saathee
Mayree dushwaar hayat kay raazdaan
Mayrey angaar andaaz kay hum bayan
Mayrey andaikhay raston kay
Mayrey maazee ko dhoondtay
Mayrey sayon kay baytaaj badshah
Mayra roshnee ko tarsa nagar
1 comment:
Fantastic at it. Superb mixture of revolutionary poetry and alternative rock.
Post a Comment